diya sanbhaale hue raste mein rah gae hain
diyā sañbhāle hue rāste meñ rah ga.e haiñ
hamāre ḳhvāb kahīñ tāqche meñ rah ga.e haiñ
ye 'ishq marhala-dar-marhala riyāzat hai
hameñ ḳhabar nahīñ kis marhale meñ rah ga.e haiñ
vo ḳhush-jamāl mujhe chhoḌ kar chalā to gayā
par us ke rang mire aa.ine meñ rah ga.e haiñ
jidhar bhī jaa.eñ palaT aate haiñ tirī jānib
hamāre paañv isī dā.ere meñ rah ga.e haiñ
junūñ ke matn meñ go tazkira nahīñ na sahī
yahī bahut hai ki ham hāshiye meñ rah ga.e haiñ
diya sanbhaale hue raste mein rah gae hain
hamare KHwab kahin taqche mein rah gae hain
ye 'ishq marhala-dar-marhala riyazat hai
hamein KHabar nahin kis marhale mein rah gae hain
wo KHush-jamal mujhe chhoD kar chala to gaya
par us ke rang mere aaine mein rah gae hain
jidhar bhi jaen palaT aate hain teri jaanib
hamare panw isi daere mein rah gae hain
junun ke matn mein go tazkira nahin na sahi
yahi bahut hai ki hum hashiye mein rah gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.