diye andheron ne baDh kar sahaare KHwabon ko
diye andheron ne baDh kar sahaare KHwabon ko
Mohammad Iftikharul Haq Samaj
MORE BYMohammad Iftikharul Haq Samaj
diye añdheroñ ne baḌh kar sahāre ḳhvāboñ ko
sirāt-e-shab se guzarte hamāre ḳhvāboñ ko
kuchh aur bojh uThānā bhī un ke zimme hai
koī to āñkhoñ ke sar se utāre ḳhvāboñ ko
chalā gayā hai jo nīñdeñ bikher kar merī
bulā.ūñ kaise ki aa kar sañvāre ḳhvāboñ ko
kahīñ ḳhalā-e-adam meñ zuhūr-e-nūr huā
dikhā.ī dene lage haiñ nazāre ḳhvāboñ ko
kahīñ jazīra-e-imkāñ kahīñ pe ta.abīreñ
bulā rahe haiñ bahut se kināre ḳhvāboñ ko
chhuḌā ke haath hue ratjagoñ meñ gum aise
talāsh karte haiñ ab istiḳhāre ḳhvāboñ ko
mizāj us ne bigāḌā hai umr bhar in kā
so ab ye vaqt kī marzī sudhāre ḳhvāboñ ko
diye andheron ne baDh kar sahaare KHwabon ko
siraat-e-shab se guzarte hamare KHwabon ko
kuchh aur bojh uThana bhi un ke zimme hai
koi to aankhon ke sar se utare KHwabon ko
chala gaya hai jo ninden bikher kar meri
bulaun kaise ki aa kar sanware KHwabon ko
kahin KHala-e-adam mein zuhur-e-nur hua
dikhai dene lage hain nazare KHwabon ko
kahin jazira-e-imkan kahin pe tabiren
bula rahe hain bahut se kinare KHwabon ko
chhuDa ke hath hue ratjagon mein gum aise
talash karte hain ab istiKHare KHwabon ko
mizaj us ne bigaDa hai umr bhar in ka
so ab ye waqt ki marzi sudhaare KHwabon ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.