diye hain ranj sare aagahi ne
diye haiñ rañj saare āgahī ne
añdhere meñ rakhā hai raushnī ne
mirī rāhoñ meñ jitne pech-o-ḳham haiñ
ye sab baḳhshe haiñ terī sādgī ne
jahāñ har āshnā hai sañg-dar-dast
koī patthar na maarā ajnabī ne
hisāb-e-dostāñ dar dil bhī kyuuñ ho
kisī ko kyā diyā āḳhir kisī ne
añdheroñ meñ panāheñ DhūñDhtā huuñ
diye haiñ zaḳhm itne raushnī ne
maiñ patthar ban ke 'ishqī' jī rahā huuñ
mujhe mil kar tarāshā hai sabhī ne
diye hain ranj sare aagahi ne
andhere mein rakha hai raushni ne
meri rahon mein jitne pech-o-KHam hain
ye sab baKHshe hain teri sadgi ne
jahan har aashna hai sang-dar-dast
koi patthar na mara ajnabi ne
hisab-e-dostan dar dil bhi kyun ho
kisi ko kya diya aaKHir kisi ne
andheron mein panahen DhunDhta hun
diye hain zaKHm itne raushni ne
main patthar ban ke 'ishqi' ji raha hun
mujhe mil kar tarasha hai sabhi ne
- Book : Qamat (Pg. 62)
- Author : Shahid Hussain
- Publication : Arshia Publications (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.