diye jalenge to phir raushni to hogi nan
diye jaleñge to phir raushnī to hogī naañ
class-fellow haiñ ham dostī to hogī naañ
nazar jhukā.e yūñhī paas se nahīñ guzrā
fareb-kār ko sharmindagī to hogī naañ
ye merā faiz nahīñ ḳhānvāde kā hai mizāj
so mere chāroñ taraf raushnī to hogī naañ
hamāre jeb-tarāshoñ ke husn-e-zan ko salām
ki zar huā na huā shā.irī to hogī naañ
kabhī jo āñkhoñ se karte the aaj kahnā paḌīñ
hamārī bātoñ meñ be-rabtagī to hogī naañ
parinde apne Thikānoñ pe uḌ ke jā chuke haiñ
hamāre nān-o-namak meñ kamī to hogī naañ
diye jalenge to phir raushni to hogi nan
class-fellow hain hum dosti to hogi nan
nazar jhukae yunhi pas se nahin guzra
fareb-kar ko sharmindagi to hogi nan
ye mera faiz nahin KHanwade ka hai mizaj
so mere chaaron taraf raushni to hogi nan
hamare jeb-tarashon ke husn-e-zan ko salam
ki zar hua na hua shairi to hogi nan
kabhi jo aankhon se karte the aaj kahna paDin
hamari baaton mein be-rabtagi to hogi nan
parinde apne Thikanon pe uD ke ja chuke hain
hamare nan-o-namak mein kami to hogi nan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.