diye jo kar diye gul ahd-e-shab mein rahte hue
diye jo kar diye gul ahd-e-shab meñ rahte hue
ye ehtijāj thā hadd-e-adab meñ rahte hue
har ek baat pe shak har na.ī sahar se gurez
baras guzar ga.e kyuuñ aur kab meñ rahte hue
vo log kaun the kis āb-o-gil kā paikar the
jo phuul jaise the dasht-e-ġhazab meñ rahte hue
guzishtagān-e-mohabbat se kuchh hunar le kar
judā sabhī se rahe aur sab meñ rahte hue
kabhī jo yaad mujhe aa gayā mirā bachpan
to aañkh nam huī bazm-e-tarab meñ rahte hue
maiñ apnī zaat kī pahchān tak gañvā baiThā
ḳhayāl-e-izzat-e-nām-o-nasab meñ rahte hue
hadīs-e-dil bhī to maiñ likh nahīñ sakā 'ashfāq'
hujūm-e-halqa-e-sher-o-adab meñ rahte hue
diye jo kar diye gul ahd-e-shab mein rahte hue
ye ehtijaj tha hadd-e-adab mein rahte hue
har ek baat pe shak har nai sahar se gurez
baras guzar gae kyun aur kab mein rahte hue
wo log kaun the kis aab-o-gil ka paikar the
jo phul jaise the dasht-e-ghazab mein rahte hue
guzishtagan-e-mohabbat se kuchh hunar le kar
juda sabhi se rahe aur sab mein rahte hue
kabhi jo yaad mujhe aa gaya mera bachpan
to aankh nam hui bazm-e-tarab mein rahte hue
main apni zat ki pahchan tak ganwa baiTha
KHayal-e-izzat-e-nam-o-nasab mein rahte hue
hadis-e-dil bhi to main likh nahin saka 'ashfaq'
hujum-e-halqa-e-sher-o-adab mein rahte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.