diye ki aaKHiri KHwahish ka ehtiram karo
diye kī āḳhirī ḳhvāhish kā ehtirām karo
tamām shahr jalāne kā ehtimām karo
vujūd chup kī taraf gāmzan hai aur mujhe
ye log bol rahe haiñ koī kalām karo
koī to lafz tarāsho hamārī hurmat par
koī to sang hamāre saroñ ke naam karo
maiñ thak chukā huuñ qadam se qadam milāte hue
ruko bhī qāfile vaalo kahīñ qiyām karo
ye ḳhvāb-e-hijr ye vahshat ye dukh ye ashk-e-ravāñ
qubūl kar lo inheñ yā phir intizām karo
diye ki aaKHiri KHwahish ka ehtiram karo
tamam shahr jalane ka ehtimam karo
wujud chup ki taraf gamzan hai aur mujhe
ye log bol rahe hain koi kalam karo
koi to lafz tarasho hamari hurmat par
koi to sang hamare saron ke nam karo
main thak chuka hun qadam se qadam milate hue
ruko bhi qafile walo kahin qiyam karo
ye KHwab-e-hijr ye wahshat ye dukh ye ashk-e-rawan
qubul kar lo inhen ya phir intizam karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.