diye ki lau agar zaKHmi hui hai
diye kī lau agar zaḳhmī huī hai
havā bhī raat se sahmī huī hai
galī ke paar sannāTe kī bārish
gharoñ ne ḳhāmushī pahnī huī hai
mire gaañv ke kachche rāste kī
udāsī dhuul meñ lipTī huī hai
shajar par kyā koī jaadū huā hai
ki Daalī bel se chimTī huī hai
sirhāne rakh ke charḳha aur puunī
thakī buḌhiyā zarā leTī huī hai
darīcha khol ke dekho zarā sā
vabā dahlīz par baiThī huī hai
diye ki lau agar zaKHmi hui hai
hawa bhi raat se sahmi hui hai
gali ke par sannaTe ki barish
gharon ne KHamushi pahni hui hai
mere ganw ke kachche raste ki
udasi dhul mein lipTi hui hai
shajar par kya koi jadu hua hai
ki Dali bel se chimTi hui hai
sirhane rakh ke charKHa aur puni
thaki buDhiya zara leTi hui hai
daricha khol ke dekho zara sa
waba dahliz par baiThi hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.