diye nigahon ke apni bujhae baiTha hun
diye nigāhoñ ke apnī bujhā.e baiThā huuñ
tujhe maiñ kitne dinoñ se bhulā.e baiThā huuñ
mire liye hī dhaḌaktā hai kā.enāt kā dil
kahāñ akelā koī bojh uThā.e baiThā huuñ
ġhubār-e-rāh uḌe to koī umiid jage
maiñ kab se raah meñ palkeñ bichhā.e baiThā huuñ
hunar jo ḳhvāb churāne kā maiñ ne sīkhā hai
yahāñ pe kitnoñ kī nīñdeñ uḌaa.e baiThā huuñ
kahīñ vo mujh se mujhe maañg le to kyā hogā
maiñ apne aap ko kab kā gañvā.e baiThā huuñ
diye nigahon ke apni bujhae baiTha hun
tujhe main kitne dinon se bhulae baiTha hun
mere liye hi dhaDakta hai kaenat ka dil
kahan akela koi bojh uThae baiTha hun
ghubar-e-rah uDe to koi umid jage
main kab se rah mein palken bichhae baiTha hun
hunar jo KHwab churane ka main ne sikha hai
yahan pe kitnon ki ninden uDae baiTha hun
kahin wo mujh se mujhe mang le to kya hoga
main apne aap ko kab ka ganwae baiTha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.