diyon se wade wo kar rahi thi ajib rut thi
diyoñ se va.ade vo kar rahī thī ajiib rut thī
havā charāġhoñ se Dar rahī thī ajiib rut thī
baḌī havelī ke gate aage darīda dāman
ġharīb laḌkī jo mar rahī thī ajiib rut thī
ThiThurtī shab meñ vidā.ī siiTī kī guuñj sun kar
ye aañkh paanī se bhar rahī thī ajiib rut thī
za.iif maañ ke liye thā mushkil ki ghar se jaatī
utaar gaThrī vo dhar rahī thī ajiib rut thī
ḳhizāñ ke mausam meñ shaam bhī thī udaas 'bābar'
vo ban ke patjhaḌ bikhar rahī thī ajiib rut thī
diyon se wade wo kar rahi thi ajib rut thi
hawa charaghon se Dar rahi thi ajib rut thi
baDi haweli ke gate aage darida daman
gharib laDki jo mar rahi thi ajib rut thi
ThiThurti shab mein widai siTi ki gunj sun kar
ye aankh pani se bhar rahi thi ajib rut thi
zaif man ke liye tha mushkil ki ghar se jati
utar gaThri wo dhar rahi thi ajib rut thi
KHizan ke mausam mein sham bhi thi udas 'babar'
wo ban ke patjhaD bikhar rahi thi ajib rut thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.