do-chaar doston ki nazar lag gai mujhe
do-chār dostoñ kī nazar lag ga.ī mujhe
varna kisī ke saath kī 'ādat na thī mujhe
phir aap kī galī se guzarte hue lagā
pīchhe se jaise aap ne āvāz dī mujhe
hañstā huuñ is liye ki isī meñ sukūn hai
ro kar bhī kaun sī ḳhushī vāpas milī mujhe
maiñ kis tarah se tere binā ho gayā tabāh
maiñ sochtā huuñ kaash ki tū dekhtī mujhe
apnā sukūn aur hai dil kā sukūn aur
dil ke sukūn se hī musībat milī mujhe
do-chaar doston ki nazar lag gai mujhe
warna kisi ke sath ki 'adat na thi mujhe
phir aap ki gali se guzarte hue laga
pichhe se jaise aap ne aawaz di mujhe
hansta hun is liye ki isi mein sukun hai
ro kar bhi kaun si KHushi wapas mili mujhe
main kis tarah se tere bina ho gaya tabah
main sochta hun kash ki tu dekhti mujhe
apna sukun aur hai dil ka sukun aur
dil ke sukun se hi musibat mili mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.