do-chaar gam pas-e-rifaqat na kar sake
do-chār gaam pās-e-rifāqat na kar sake
ham phir bhī un se koī shikāyat na kar sake
kyā aise ham-safar pe bharosa kare koī
jo dil ko bhī sharīk-e-masāfat na kar sake
insāñ kā ehtirām thā itnā hameñ aziiz
ham apne dushmanoñ se bhī nafrat na kar sake
ham log to kuchh aise qadāmat-parast haiñ
paidā kisī bhī kaam meñ jiddat na kar sake
chunte ho aisā qāfila sālār kis liye
jo ahl-e-kārvāñ kī hifāzat na kar sake
ham aise hukmarān the be-iḳhtiyār se
is dil kī saltanat pe hukūmat na kar sake
nārāz ham se haiñ vo hamāre sukūt par
lab kholne kī ḳhud bhī jo himmat na kar sake
'shāhid' dayār-e-dil meñ añdherā hai chaar sū
raushan koī charāġh-e-mohabbat na kar sake
do-chaar gam pas-e-rifaqat na kar sake
hum phir bhi un se koi shikayat na kar sake
kya aise ham-safar pe bharosa kare koi
jo dil ko bhi sharik-e-masafat na kar sake
insan ka ehtiram tha itna hamein aziz
hum apne dushmanon se bhi nafrat na kar sake
hum log to kuchh aise qadamat-parast hain
paida kisi bhi kaam mein jiddat na kar sake
chunte ho aisa qafila salar kis liye
jo ahl-e-karwan ki hifazat na kar sake
hum aise hukmaran the be-iKHtiyar se
is dil ki saltanat pe hukumat na kar sake
naraaz hum se hain wo hamare sukut par
lab kholne ki KHud bhi jo himmat na kar sake
'shahid' dayar-e-dil mein andhera hai chaar su
raushan koi charagh-e-mohabbat na kar sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.