do-ghaDi jism ke us par bhi dekha hota
do-ghaḌī jism ke us paar bhī dekhā hotā
kaash kuchh ruuh kā sansār bhī dekhā hotā
sunte rahte ho shab-o-roz khanak jeboñ kī
chheḌ kar dil kā koī taar bhī dekhā hotā
uljhe rahte ho mire zehn kī paimā.ish meñ
mere dil kā kabhī vistār bhī dekhā hotā
sone chāñdī kī havelī se nikal kar tum ne
muflisoñ kā kabhī ghar-bār bhī dekhā hotā
mere har vaade ko kamzor batāne vaale
tū ne majbūrī kā kirdār bhī dekhā hotā
do-ghaDi jism ke us par bhi dekha hota
kash kuchh ruh ka sansar bhi dekha hota
sunte rahte ho shab-o-roz khanak jebon ki
chheD kar dil ka koi tar bhi dekha hota
uljhe rahte ho mere zehn ki paimaish mein
mere dil ka kabhi wistar bhi dekha hota
sone chandi ki haweli se nikal kar tum ne
muflison ka kabhi ghar-bar bhi dekha hota
mere har wade ko kamzor batane wale
tu ne majburi ka kirdar bhi dekha hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.