do ghaDi un ke han guzar aae
do ghaḌī un ke haañ guzār aa.e
ishq kī āqibat sañvār aa.e
har nafas ik nayā tasādum hai
vaqt Thahre to kuchh qarār aa.e
kuchh to ho ahl-e-dil kī duniyā meñ
mai mile yā kahīñ bahār aa.e
apnā anjām-e-zīst kyā hogā
ham agar maut ko bhī haar aa.e
thak chukī hai shuā-e-shams-e-kuhan
raushnī kā nayā manār aa.e
ham azal se ravāñ the sū-e-adam
raah meñ apne hī mazār aa.e
har jagah ziist kār-farmā hai
hashr tak maut ko pukār aa.e
Thahrā radd-e-amal bhī ek amal
vaqt lauTe to baar baar aa.e
do ghaDi un ke han guzar aae
ishq ki aaqibat sanwar aae
har nafas ek naya tasadum hai
waqt Thahre to kuchh qarar aae
kuchh to ho ahl-e-dil ki duniya mein
mai mile ya kahin bahaar aae
apna anjam-e-zist kya hoga
hum agar maut ko bhi haar aae
thak chuki hai shua-e-shams-e-kuhan
raushni ka naya manar aae
hum azal se rawan the su-e-adam
rah mein apne hi mazar aae
har jagah zist kar-farma hai
hashr tak maut ko pukar aae
Thahra radd-e-amal bhi ek amal
waqt lauTe to bar bar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.