do hath joD kar ye guzarish janab hai
do haath joḌ kar ye guzārish janāb hai
zaa.e' na kījiye jo ye ‘ahd-e-shabāb hai
zāhir haiñ chand jalve to pinhāñ hazār haiñ
gaahe nazar hai aa.ina gaahe naqāb hai
vā'iz na ahl-e-dil ko tū kāfir qarār de
tū paḌh sake kabhī to ye dil bhī kitāb hai
andhā huā hai aadmī daulat ke pher meñ
dekho jo ġhaur se to ye zar bhī turāb hai
aa.e nahīñ to na sahī ye to pata chale
niyyat ḳharāb hai ki tabī'at ḳharāb hai
rahtā hai dostoñ ke sadā dil meñ tū 'sadā'
duniyā samajhtī hai ki tū ḳhāna-ḳharāb hai
do hath joD kar ye guzarish janab hai
zae' na kijiye jo ye ‘ahd-e-shabab hai
zahir hain chand jalwe to pinhan hazar hain
gahe nazar hai aaina gahe naqab hai
wa'iz na ahl-e-dil ko tu kafir qarar de
tu paDh sake kabhi to ye dil bhi kitab hai
andha hua hai aadmi daulat ke pher mein
dekho jo ghaur se to ye zar bhi turab hai
aae nahin to na sahi ye to pata chale
niyyat KHarab hai ki tabi'at KHarab hai
rahta hai doston ke sada dil mein tu 'sada'
duniya samajhti hai ki tu KHana-KHarab hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.