do hathon ke do hain usul
do hāthoñ ke do haiñ usuul
ek meñ patthar ek meñ phuul
tark-e-tamannā kī ye baat
kaun karegā dil se qubūl
rāh-numā ko fikr hī kyā
koī musāfir kyoñ hai malūl
shab raheñge umr tamām
aap ke va.ade aap kī bhuul
ek na sar se bojh Talā
aur balāoñ kā hai nuzūl
chaal na itnī tez chalo
sar se ūñchī paañv key dhuul
baat banegī tujh se bhalā
uzr nahīñ koī ma.aqūl
der huī 'iqbāl' to kyā
koī duā to hogī qubūl
do hathon ke do hain usul
ek mein patthar ek mein phul
tark-e-tamanna ki ye baat
kaun karega dil se qubul
rah-numa ko fikr hi kya
koi musafir kyon hai malul
shab rahenge umr tamam
aap ke wade aap ki bhul
ek na sar se bojh Tala
aur balaon ka hai nuzul
chaal na itni tez chalo
sar se unchi panw key dhul
baat banegi tujh se bhala
uzr nahin koi maqul
der hui 'iqbaal' to kya
koi dua to hogi qubul
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.