do hi misron mein baat hoti hai
do hī misroñ meñ baat hotī hai
ye ġhazal kī bisāt hotī hai
dard-o-andoh ke talātum meñ
muskurāo to baat hotī hai
ek ke baa'd ek hai ġham se
jīte-jī kab najāt hotī hai
zindagī ḳhatm ho bhī jaa.e to
ḳhatm kab vārdāt hotī hai
koī qindīl hī karo raushan
'kañval' uTTho ki raat hotī hai
do hi misron mein baat hoti hai
ye ghazal ki bisat hoti hai
dard-o-andoh ke talatum mein
muskurao to baat hoti hai
ek ke ba'd ek hai gham se
jite-ji kab najat hoti hai
zindagi KHatm ho bhi jae to
KHatm kab wardat hoti hai
koi qindil hi karo raushan
'kanwal' uTTho ki raat hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.