do nigahon se chaar ki Thahri
do nigāhoñ se chaar kī Thahrī
shukr-sad-shukr pyaar kī Thahrī
maiñ to jaanā thā vasl us se huā
kyā balā phir qarār kī Thahrī
ek do tiin chaar pāñch aur chhe
raat din phir shumār kī Thahrī
ai mirī chashm misl-e-abr-e-siyāh
terī zār-o-nazār kī Thahrī
aañkh pathrā.ī aarsī kī tarah
kis qadar intizār kī Thahrī
ai 'alī' ḳhush ho jal tū ab har-dam
jo ḳhushī is meñ yaar kī Thahrī
do nigahon se chaar ki Thahri
shukr-sad-shukr pyar ki Thahri
main to jaana tha wasl us se hua
kya bala phir qarar ki Thahri
ek do tin chaar panch aur chhe
raat din phir shumar ki Thahri
ai meri chashm misl-e-abr-e-siyah
teri zar-o-nazar ki Thahri
aankh pathrai aarsi ki tarah
kis qadar intizar ki Thahri
ai 'ali' KHush ho jal tu ab har-dam
jo KHushi is mein yar ki Thahri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.