Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

do umron ki rui dhun kar aaya hun

Iliyas Babar Aawan

do umron ki rui dhun kar aaya hun

Iliyas Babar Aawan

MORE BYIliyas Babar Aawan

    do umroñ ruī dhun kar aayā huuñ

    maiñ pardes se ḳhud ko bun kar aayā huuñ

    dariyā se yaarī bhī kitnī mushkil hai

    maiñ kashtī ke TukḌe chun kar aayā huuñ

    tum ko kitnā shauq hai phone pe bātoñ

    aaj bhī boss bāteñ sun kar aayā huuñ

    jaane kaun churā letā thā merā vaqt

    wall-clock pe jaalā ban kar aayā huuñ

    aaj shaam guzāreñge ham chhatrī meñ

    bārish hogī ḳhabreñ sun kar aayā huuñ

    dost ko samjhāne ḳhātir aayā thā

    anjāne meñ ḳhud ko Tun kar aayā huuñ

    do umron ki rui dhun kar aaya hun

    main pardes se KHud ko bun kar aaya hun

    dariya se yari bhi kitni mushkil hai

    main kashti ke TukDe chun kar aaya hun

    tum ko kitna shauq hai phone pe baaton ka

    aaj bhi boss ki baaten sun kar aaya hun

    jaane kaun chura leta tha mera waqt

    wall-clock pe jala ban kar aaya hun

    aaj ki sham guzarenge hum chhatri mein

    barish hogi KHabren sun kar aaya hun

    dost ko samjhane ki KHatir aaya tha

    anjaane mein KHud ko Tun kar aaya hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now