dobara hone lage manzaron mein manzar gum
dobāra hone lage manzaroñ meñ manzar gum
kahāñ hai tū ki hai maujūd gum mayassar gum
ajal-girafta haiñ ham aa idhar rudālī aa
jo nauhagar the hamāre hue vo yaksar gum
na jal-parī hī vo aa.ī na bādbān khulā
aur apne-āp meñ dekhā gayā samundar gum
maiñ tere dhyān ke dāman ko thaam kar niklā
vagarna dekhā gayā ḳhizr gum sikandar gum
ye kaun le gayā paanī hamārī jhīloñ se
parinde DhūñD rahe haiñ kahāñ hai kīnjhar gum
dobara hone lage manzaron mein manzar gum
kahan hai tu ki hai maujud gum mayassar gum
ajal-girafta hain hum aa idhar rudali aa
jo nauhagar the hamare hue wo yaksar gum
na jal-pari hi wo aai na baadban khula
aur apne-ap mein dekha gaya samundar gum
main tere dhyan ke daman ko tham kar nikla
wagarna dekha gaya KHizr gum sikandar gum
ye kaun le gaya pani hamari jhilon se
parinde DhunD rahe hain kahan hai kinjhar gum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.