Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dobara moajiza ho jaega kya

Nadeem Sirsivi

dobara moajiza ho jaega kya

Nadeem Sirsivi

dobāra mo.ajiza ho jā.egā kyā

vo pāgal phir mirā ho jā.egā kyā

lahū taaza zamīñ par thūkne se

junūñ haq adā ho jā.egā kyā

ye dil baitushsharf hai hādsoñ

ye dil maskan tirā ho jā.egā kyā

añdherī raat dāman jalā kar

charāġhoñ bhalā ho jā.egā kyā

tirī āñkhoñ meñ pal-bhar jhāñkne se

mohabbat nasha ho jā.egā kyā

jise hāsil kiyā sab kuchh gañvā kar

vo aise judā ho jā.egā kyā

zarūrat jis ke aage sar jhukā de

batāo vo ḳhudā ho jā.egā kyā

qayāfa pārsā.ī banā kar

sach meñ pārsā ho jā.egā kyā

agar maiñ phoḌ duuñ sūraj āñkheñ

añdherā jā-ba-jā ho jā.egā kyā

ka.ī rāteñ musalsal jāgne se

ik shā.ir baḌā ho jā.egā kyā

mire ik lams hiddat pahan kar

vo patthar mom ho jā.egā kyā

hamāre be-bizā.at fāsloñ se

ta.alluq nāravā ho jā.egā kyā

vo kahte haiñ banī lamhe meñ duniyā

ye sab kuchh barmalā ho jā.egā kyā

haqīqat meñ mere sāmne hai

ye manzar ḳhvāb ho jā.egā kyā

'nadīm' ab maan ash.ār mat likh

to yūñhī bāvlā ho jā.egā kyā

dobara moajiza ho jaega kya

wo pagal phir mera ho jaega kya

lahu taza zamin par thukne se

junun ka haq ada ho jaega kya

ye dil baitushsharf hai hadson ka

ye dil maskan tera ho jaega kya

andheri raat ka daman jala kar

charaghon ka bhala ho jaega kya

teri aankhon mein pal-bhar jhankne se

mohabbat ka nasha ho jaega kya

jise hasil kiya sab kuchh ganwa kar

wo aise hi juda ho jaega kya

zarurat jis ke aage sar jhuka de

batao wo KHuda ho jaega kya

qayafa parsai ka bana kar

tu sach mein parsa ho jaega kya

agar main phoD dun suraj ki aankhen

andhera ja-ba-ja ho jaega kya

kai raaten musalsal jagne se

tu ek shair baDa ho jaega kya

mere ek lams ki hiddat pahan kar

wo patthar mom ka ho jaega kya

hamare be-bizaat faslon se

talluq narawa ho jaega kya

wo kahte hain bani lamhe mein duniya

ye sab kuchh barmala ho jaega kya

haqiqat mein tu mere samne hai

ye manzar KHwab sa ho jaega kya

'nadim' ab man ja ashaar mat likh

to yunhi bawla ho jaega kya

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now