doghla-pan ki hadon mein sab ke sab kirdar the
doġhlā-pan kī hadoñ meñ sab ke sab kirdār the
is liye ham log jo achchhe the sab bekār the
jo hamārī rahnumā.ī ke 'alam-bardār the
vo hamārī raah kī sab se baḌī dīvār the
maiñ ne un ko chhū ke dekhā tab huā ye inkishāf
phuul kyā hoñge jo us ke paañv ḳhushbū-dār the
kaun mere ḳhushk hoñToñ ko vahāñ par dekhtā
jis jagah dariyā bhī apnī pyaas se bezār the
ab jo merī jaan lene par haiñ āmāda 'ratan'
merī ḳhātir jaan dene ko kabhī tayyār the
doghla-pan ki hadon mein sab ke sab kirdar the
is liye hum log jo achchhe the sab bekar the
jo hamari rahnumai ke 'alam-bardar the
wo hamari rah ki sab se baDi diwar the
main ne un ko chhu ke dekha tab hua ye inkishaf
phul kya honge jo us ke panw KHushbu-dar the
kaun mere KHushk honTon ko wahan par dekhta
jis jagah dariya bhi apni pyas se bezar the
ab jo meri jaan lene par hain aamada 'ratan'
meri KHatir jaan dene ko kabhi tayyar the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.