donon aankhon mein bhar liya jae
donoñ āñkhoñ meñ bhar liyā jaa.e
husn mahfūz kar liyā jaa.e
zindagī se kalām karne ko
izn-e-nūr-e-sahar liyā jaa.e
ham se pādāsh meñ mohabbat kī
jaan lī jaa.e sar liyā jaa.e
be-ḳhatā hai to phir bhī Dar ai dost
be-ḳhatā hī na dhar liyā jaa.e
shahr-e-ummīd kitnā dilkash hai
aao kuchh din Thahar liyā jaa.e
kaisā sarsabz hai tumhārā saath
is ko tasvīr kar liyā jaa.e
donon aankhon mein bhar liya jae
husn mahfuz kar liya jae
zindagi se kalam karne ko
izn-e-nur-e-sahar liya jae
hum se padash mein mohabbat ki
jaan li jae sar liya jae
be-KHata hai to phir bhi Dar ai dost
be-KHata hi na dhar liya jae
shahr-e-ummid kitna dilkash hai
aao kuchh din Thahar liya jae
kaisa sarsabz hai tumhaara sath
is ko taswir kar liya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.