donon jaanib se ek han ka safar
donoñ jānib se ek haañ kā safar
ḳhatm kar degā har gumāñ kā safar
kar chuke haiñ ham is jahāñ kā safar
ab hai darpesh lā-makāñ kā safar
ik udāsī jo kartī rahtī hai
ek se dūsre makāñ kā safar
Thahrne ko koī maqām nahīñ
saḳht mushkil hai āsmāñ kā safar
ham se pūchho ki kis tarah guzrā
jiine marne ke darmiyāñ kā safar
dil kā qissa kahāñ tamām huā
chal rahā hai abhī fuġhāñ kā safar
jaane kyā hai ki ḳhatm hotā nahīñ
ek muddat se ye ḳhizāñ kā safar
donon jaanib se ek han ka safar
KHatm kar dega har guman ka safar
kar chuke hain hum is jahan ka safar
ab hai darpesh la-makan ka safar
ek udasi jo karti rahti hai
ek se dusre makan ka safar
Thahrne ko koi maqam nahin
saKHt mushkil hai aasman ka safar
hum se puchho ki kis tarah guzra
jine marne ke darmiyan ka safar
dil ka qissa kahan tamam hua
chal raha hai abhi fughan ka safar
jaane kya hai ki KHatm hota nahin
ek muddat se ye KHizan ka safar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.