donon ki aarzu mein chamak barqarar hai
donoñ kī aarzū meñ chamak barqarār hai
maiñ us taraf huuñ aur vo dariyā ke paar hai
duniyā samajh rahī hai kī us ne bhulā diyā
sach ye hai us ko ab bhī mirā intizār hai
shāyad mujhe bhī ishq ne shādāb kar diyā
mere dil-o-dimāġh meñ har pal ḳhumār hai
kyuuñ maiñ ne us ke pyaar meñ duniyā ujaaḌ lī
is baat se vo shaḳhs bahut sharmsār hai
tū ne adā se dekh ke majbūr kar diyā
tīr-e-nigāh dil ke mire ār-pār hai
daulat se to zarā bhī mohabbat nahīñ mujhe
phir bhī mire nasīb meñ ye be-shumār hai
donon ki aarzu mein chamak barqarar hai
main us taraf hun aur wo dariya ke par hai
duniya samajh rahi hai ki us ne bhula diya
sach ye hai us ko ab bhi mera intizar hai
shayad mujhe bhi ishq ne shadab kar diya
mere dil-o-dimagh mein har pal KHumar hai
kyun main ne us ke pyar mein duniya ujaD li
is baat se wo shaKHs bahut sharmsar hai
tu ne ada se dekh ke majbur kar diya
tir-e-nigah dil ke mere aar-par hai
daulat se to zara bhi mohabbat nahin mujhe
phir bhi mere nasib mein ye be-shumar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.