donon ko aa sakin na nibhani mohabbaten
donoñ ko aa sakīñ na nibhānī mohabbateñ
ab paḌ rahī haiñ ham ko bhulānī mohabbateñ
sab sar-ba-sar fareb haiñ kyā un kā e'tibār
ye pyaar husn ishq javānī mohabbateñ
jaane vo aaj kaun se raste se aa.e ghar
har moḌ har galī meñ bichhānī mohabbateñ
kin kin rafāqatoñ ke diye vāste magar
us ko na yaad aa.iiñ purānī mohabbateñ
guzrī rutoñ ke zaḳhm hī ab tak bhare nahīñ
phir aur kyā kisī se baḌhānī mohabbateñ
yā dil kī hālatoñ kā bayāñ sab ke sāmne
yā apne aap se bhī chhupānī mohabbateñ
nafrat ke vāste kabhī fursat nahīñ milī
apnī hai muḳhtasar sī kahānī mohabbateñ
donon ko aa sakin na nibhani mohabbaten
ab paD rahi hain hum ko bhulani mohabbaten
sab sar-ba-sar fareb hain kya un ka e'tibar
ye pyar husn ishq jawani mohabbaten
jaane wo aaj kaun se raste se aae ghar
har moD har gali mein bichhani mohabbaten
kin kin rafaqaton ke diye waste magar
us ko na yaad aain purani mohabbaten
guzri ruton ke zaKHm hi ab tak bhare nahin
phir aur kya kisi se baDhani mohabbaten
ya dil ki haalaton ka bayan sab ke samne
ya apne aap se bhi chhupani mohabbaten
nafrat ke waste kabhi fursat nahin mili
apni hai muKHtasar si kahani mohabbaten
- Book : Pakistani Adab (Pg. 714)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.