dosh-e-saba pe kya koi paigham aa gaya
dosh-e-saba pe kya koi paigham aa gaya
Begum Sultana Zakir Ada
MORE BYBegum Sultana Zakir Ada
dosh-e-sabā pe kyā koī paiġhām aa gayā
kyā māhtāb aaj sar-e-shām aa gayā
har shāḳh-e-gul lachaktī hai gulshan kī āj-kal
har phuul kī zabāñ pe tirā naam aa gayā
khilte rahe haiñ phuul har ik shāḳh-e-gul ke aaj
shāyad chaman meñ aaj vo gulfām aa gayā
kaisī mahak hai aaj har ik sū basī huī
kyā bāġhbāñ vo aaj sar-e-'ām aa gayā
kaise chhupāte 'aks jo āñkhoñ meñ thā tirā
sar ko jhukā.e rakhnā mire kaam aa gayā
jis se basā huā hai mirā gulshan-e-hayāt
do-gām jī chalā thā ki nākām aa gayā
aTkheliyāñ hai kartī gulistāñ meñ kyoñ sabā
us kī isī adā pe hī ilzām aa gayā
dosh-e-saba pe kya koi paigham aa gaya
kya mahtab aaj sar-e-sham aa gaya
har shaKH-e-gul lachakti hai gulshan ki aaj-kal
har phul ki zaban pe tera nam aa gaya
khilte rahe hain phul har ek shaKH-e-gul ke aaj
shayad chaman mein aaj wo gulfam aa gaya
kaisi mahak hai aaj har ek su basi hui
kya baghban wo aaj sar-e-'am aa gaya
kaise chhupate 'aks jo aankhon mein tha tera
sar ko jhukae rakhna mere kaam aa gaya
jis se basa hua hai mera gulshan-e-hayat
do-gam ji chala tha ki nakaam aa gaya
aTkheliyan hai karti gulistan mein kyon saba
us ki isi ada pe hi ilzam aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.