Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dosh par bar-e-gham uThae hue

Jawed Manzar

dosh par bar-e-gham uThae hue

Jawed Manzar

MORE BYJawed Manzar

    dosh par bār-e-ġham uThā.e hue

    chal rahā huuñ qadam jamā.e hue

    mujh ko merī anā ne maar diyā

    jo bhī apne the sab parā.e hue

    phir usī rahguzar pe baiThā huuñ

    aarzū ke diye jalā.e hue

    sāhiloñ par pahuñch ke Duub ga.e

    the jo tūfāñ se bach ke aa.e hue

    hasrateñ ḳhuun ho ga.iiñ 'manzar'

    vo jo guzre nazar bachā.e hue

    dosh par bar-e-gham uThae hue

    chal raha hun qadam jamae hue

    mujh ko meri ana ne mar diya

    jo bhi apne the sab parae hue

    phir usi rahguzar pe baiTha hun

    aarzu ke diye jalae hue

    sahilon par pahunch ke Dub gae

    the jo tufan se bach ke aae hue

    hasraten KHun ho gain 'manzar'

    wo jo guzre nazar bachae hue

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now