dosh pe apne bar uThae phirte hain
Interesting Fact
2002
dosh pe apne baar uThā.e phirte haiñ
ham kitne āzār uThā.e phirte haiñ
prem nagar ke baasī kāñToñ ke ban meñ
phūloñ kā ambār uThā.e phirte haiñ
tan ke ujle man ke kaale haiñ jo log
nafrat kī dīvār uThā.e phirte haiñ
dīn-dharam ke naam pe qaumoñ ke dushman
do-dhārī talvār uThā.e phirte haiñ
'nūr' mire āñgan meñ phir vo raat ga.e
paa.el kī jhankār uThā.e phirte haiñ
dosh pe apne bar uThae phirte hain
hum kitne aazar uThae phirte hain
prem nagar ke basi kanTon ke ban mein
phulon ka ambar uThae phirte hain
tan ke ujle man ke kale hain jo log
nafrat ki diwar uThae phirte hain
din-dharam ke nam pe qaumon ke dushman
do-dhaari talwar uThae phirte hain
'nur' mere aangan mein phir wo raat gae
pael ki jhankar uThae phirte hain
- Book : Shahar Ki Faseelon Se (Pg. 47)
- Author : Noor Muneeri
- Publication : Khan Publications (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.