dost bahut rahe magar yar nahin bana koi
dost bahut rahe magar yaar nahīñ banā koī
ya.anī maiñ chal paḌā to dīvār nahīñ banā koī
ik to ye dukh ki koī haqdār hī ban gayā tirā
is pe sitam ye hai ki haqdār nahīñ banā koī
phuul bikā rahe haiñ tirshūl bikāne vaale bhī
jab se vo shahr aaya hathiyār nahīñ banā koī
ishq-shanās log the saare udaas log the
so mire shahr se adākār nahīñ banā koī
sho.abada-bāz ab ke māyūs palaT gayā hai 'rāz'
ya.anī ki bevaqūf is baar nahīñ banā koī
dost bahut rahe magar yar nahin bana koi
yani main chal paDa to diwar nahin bana koi
ek to ye dukh ki koi haqdar hi ban gaya tera
is pe sitam ye hai ki haqdar nahin bana koi
phul bika rahe hain tirshul bikane wale bhi
jab se wo shahr aaya hathiyar nahin bana koi
ishq-shanas log the sare udas log the
so mere shahr se adakar nahin bana koi
shoabada-baz ab ke mayus palaT gaya hai 'raaz'
yani ki bewaquf is bar nahin bana koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.