dost dushman sab hi pahchane gae
dost dushman sab hī pahchāne ga.e
merī duniyā se sanam-ḳhāne ga.e
koī hai dil meñ mire jab se makīñ
dasht-e-dil se saare vīrāne ga.e
kis qadar dil meñ bharosa thā mire
rafta rafta log pahchāne ga.e
raushnī bhī ab nahīñ raunaq na vo
bujh ga.ī jab sham' parvāne ga.e
ab yahāñ koī sadā aatī nahīñ
kaun se sahrā ko dīvāne ga.e
kaun kis ko yaad rakkhe 'ḳhālida'
saath mere mere afsāne ga.e
dost dushman sab hi pahchane gae
meri duniya se sanam-KHane gae
koi hai dil mein mere jab se makin
dasht-e-dil se sare virane gae
kis qadar dil mein bharosa tha mere
rafta rafta log pahchane gae
raushni bhi ab nahin raunaq na wo
bujh gai jab sham' parwane gae
ab yahan koi sada aati nahin
kaun se sahra ko diwane gae
kaun kis ko yaad rakkhe 'KHalida'
sath mere mere afsane gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.