dost ki dushmani se waqif hun
dost ki dushmani se waqif hun
Sultanul Haq Shaheedii Kaashmiri
MORE BYSultanul Haq Shaheedii Kaashmiri
dost kī dushmanī se vāqif huuñ
aap kī be-ruḳhī se vāqif huuñ
ye matā-e-azīz hai merī
sozish-e-dā.imī se vāqif huuñ
raas aa.e na jis ko jannat bhī
dil kī us bekalī se vāqif huuñ
nang-e-zulmat vatan meñ aa.ī jo
is na.ī raushnī se vāqif huuñ
aaj kī zindagī pe hai ye baar
aaj ke dā.imī se vāqif huuñ
ek shaitān ik farishta hai
aadmī aadmī se vāqif huuñ
āshnā bhī hue haiñ begāne
dosto muflisī se vāqif huuñ
kaun dekhegā pairahan sad-chāk
apnī is be-kasī se vāqif huuñ
lamha bhar khul ke ḳhaak meñ milnā
phuul kī tāzgī se vāqif huuñ
tuur pe jo na pā sake muusā
dil kī us sarḳhushī se vāqif huuñ
faash haiñ mujh pe rāz-e-yazdānī
azmat-e-bandagī se vāqif huuñ
ahl-e-tanqīd mutma.in rahiye
adab aur zindagī se vāqif huuñ
dost ki dushmani se waqif hun
aap ki be-ruKHi se waqif hun
ye mata-e-aziz hai meri
sozish-e-daimi se waqif hun
ras aae na jis ko jannat bhi
dil ki us bekali se waqif hun
nang-e-zulmat watan mein aai jo
is nai raushni se waqif hun
aaj ki zindagi pe hai ye bar
aaj ke daimi se waqif hun
ek shaitan ek farishta hai
aadmi aadmi se waqif hun
aashna bhi hue hain begane
dosto muflisi se waqif hun
kaun dekhega pairahan sad-chaak
apni is be-kasi se waqif hun
lamha bhar khul ke KHak mein milna
phul ki tazgi se waqif hun
tur pe jo na pa sake musa
dil ki us sarKHushi se waqif hun
fash hain mujh pe raaz-e-yazdani
azmat-e-bandagi se waqif hun
ahl-e-tanqid mutmain rahiye
adab aur zindagi se waqif hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.