dost ko mahram bana kar dushman-e-jaan kar diya
dost ko mahram banā kar dushman-e-jāñ kar diyā
tū ne ai dil aap barbādī kā sāmāñ kar diyā
laġhzish-e-ādam to ham tak aa.ī hai mīrās meñ
devtā hote isī ḳhūbī ne insāñ kar diyā
raaz ko jitnā chhupāyā aur ifshā ho gayā
terā chehra aur āñchal ne numāyāñ kar diyā
mehrbāñ ne ġham ġhalat karne kī rakkhī ye sabīl
jab paḌā hai qaht-e-mai to zahr arzāñ kar diyā
aur phailī bū simaT kar phuul ke fānūs meñ
tīrgī ne raushnī ko aur uryāñ kar diyā
kab zavāl aayā hai apnī aql par lekin ise
vasvasoñ ne kund andeshoñ ne hairāñ kar diyā
ik bayābāñ meñ huuñ 'shaukat' andalīb-e-naġhma-zan
shauq ne kin bad-mazāqoñ meñ ġhazal-ḳhvāñ kar diyā
dost ko mahram bana kar dushman-e-jaan kar diya
tu ne ai dil aap barbaadi ka saman kar diya
laghzish-e-adam to hum tak aai hai miras mein
dewta hote isi KHubi ne insan kar diya
raaz ko jitna chhupaya aur ifsha ho gaya
tera chehra aur aanchal ne numayan kar diya
mehrban ne gham ghalat karne ki rakkhi ye sabil
jab paDa hai qaht-e-mai to zahr arzan kar diya
aur phaili bu simaT kar phul ke fanus mein
tirgi ne raushni ko aur uryan kar diya
kab zawal aaya hai apni aql par lekin ise
waswason ne kund andeshon ne hairan kar diya
ek bayaban mein hun 'shaukat' andalib-e-naghma-zan
shauq ne kin bad-mazaqon mein ghazal-KHwan kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.