dost milte rahe manzil pe guzar hone tak
dost milte rahe manzil pe guzar hone tak
koī sāthī na rahā ḳhatm-e-safar hone tak
yā-ilāhī mujhe taufīq atā kar aisī
har burā.ī se bachūñ umr basar hone tak
ḳhaak hone se bachāyā na kisī ke ghar ko
dekhte rah ga.e sab nazr-e-sharar hone tak
giḌgiḌāo ki ḳhudā rahm pe maa.il ho jaa.e
māñgte jaao duāoñ meñ asar hone tak
aañkh nam-nāk dam-e-sard laboñ par 'nāzī'
kis tarah sabr karūñ ḳhūn-e-jigar hone tak
dost milte rahe manzil pe guzar hone tak
koi sathi na raha KHatm-e-safar hone tak
ya-ilahi mujhe taufiq ata kar aisi
har burai se bachun umr basar hone tak
KHak hone se bachaya na kisi ke ghar ko
dekhte rah gae sab nazr-e-sharar hone tak
giDgiDao ki KHuda rahm pe mail ho jae
mangte jao duaon mein asar hone tak
aankh nam-nak dam-e-sard labon par 'nazi'
kis tarah sabr karun KHun-e-jigar hone tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.