dosti ab na dushmani achchhi
dostī ab na dushmanī achchhī
zindagī apnī ajnabī achchhī
anjuman ho ki bazm-e-tanhā.ī
har nazar se hai sādgī achchhī
ye jo duniyā hai roz badlegī
maiñ na badlūñ to zindagī achchhī
phuul haiñ be-shumār gulshan meñ
munfarid jo hai vo kalī achchhī
jalvatoñ ke 'ravish' bakheḌe haiñ
ḳhalvatoñ kī burī bhalī achchhī
dosti ab na dushmani achchhi
zindagi apni ajnabi achchhi
anjuman ho ki bazm-e-tanhai
har nazar se hai sadgi achchhi
ye jo duniya hai roz badlegi
main na badlun to zindagi achchhi
phul hain be-shumar gulshan mein
munfarid jo hai wo kali achchhi
jalwaton ke 'rawish' bakheDe hain
KHalwaton ki buri bhali achchhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.