dosti hai dharm mera zat meri
dostī hai dharm merā zaat merī
dushmanoñ se pochhiye auqāt merī
ishq kyā hai jaal hai maiñ ne kahā thā
tum magar sunte kahāñ ho baat merī
sāmne thā vo magar kuchh fāsle par
sochiye kaise kaTī hai raat merī
aap se phir ho rahā hai ishq mujh ko
ishq meñ phir ho rahī hai maat merī
dosti hai dharm mera zat meri
dushmanon se pochhiye auqat meri
ishq kya hai jal hai main ne kaha tha
tum magar sunte kahan ho baat meri
samne tha wo magar kuchh fasle par
sochiye kaise kaTi hai raat meri
aap se phir ho raha hai ishq mujh ko
ishq mein phir ho rahi hai mat meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.