dosti husn-o-mohabbat mein magar hoti hai
dostī husn-o-mohabbat meñ magar hotī hai
zindagī ḳhaar kī phūloñ meñ basar hotī hai
har adā un kī jo manzūr-e-nazar hotī hai
jān-e-dil hotī hai paivast-e-jigar hotī hai
baat bantī hai to ho jaatī hai duniyā haa.il
baat baḌhtī hai to duniyā ko ḳhabar hotī hai
zo.af-e-anvār ko taqdīr samajhne vaale
har javāñ raat hī paiġhām-e-sahar hotī hai
har kisī chashm kā aañsū hai binā-e-tūfāñ
jab tirī yaad bhī hamrāz-e-safar hotī hai
tum mujhe pyaar ke andāz se dekhā na karo
dil dhaḌaktā hai to duniyā ko ḳhabar hotī hai
sun liyā kartā huuñ aksar maiñ kahānī 'ġham' kī
ġham ke andāz meñ jo raat basar hotī hai
dosti husn-o-mohabbat mein magar hoti hai
zindagi KHar ki phulon mein basar hoti hai
har ada un ki jo manzur-e-nazar hoti hai
jaan-e-dil hoti hai paiwast-e-jigar hoti hai
baat banti hai to ho jati hai duniya hail
baat baDhti hai to duniya ko KHabar hoti hai
zoaf-e-anwar ko taqdir samajhne wale
har jawan raat hi paigham-e-sahar hoti hai
har kisi chashm ka aansu hai bina-e-tufan
jab teri yaad bhi hamraaz-e-safar hoti hai
tum mujhe pyar ke andaz se dekha na karo
dil dhaDakta hai to duniya ko KHabar hoti hai
sun liya karta hun aksar main kahani 'gham' ki
gham ke andaz mein jo raat basar hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.