dosti ke nae aadab liye phirte hain
dostī ke na.e ādāb liye phirte haiñ
log ab itr meñ tezāb liye phirte haiñ
chāhte haiñ ki haqīqat meñ Dhaleñ aap hī aap
jāgtī āñkhoñ meñ ham ḳhvāb liye phirte haiñ
aañkh uThtī nahīñ bāhar ke nazāroñ kī taraf
ham tabī.at baḌī sairāb liye phirte haiñ
ehtiyātan ki harīfoñ ke na haath aa jaa.eñ
mere purze mire ahbāb liye phirte haiñ
ham ko shohrat kī tamanna na satā.ish kī talab
be-sabab aap ye asbāb liye phirte haiñ
mah-jabīñ haiñ unheñ bindiyā kī zarūrat kyā hai
kyoñ vo mahtāb pe mahtāb liye phirte haiñ
kyā guzartī hai diloñ par ye ḳhudā hī jaane
log chehre baḌe shādāb liye phirte haiñ
dil ke tāroñ se chale chheḌ tarannum ke liye
ham jo ash.ār kī mizrāb liye phirte haiñ
bādbāñ kā hai na patvār kā muhtāj 'naqīb'
us kī kashtī ko jo girdāb liye phirte haiñ
dosti ke nae aadab liye phirte hain
log ab itr mein tezab liye phirte hain
chahte hain ki haqiqat mein Dhalen aap hi aap
jagti aankhon mein hum KHwab liye phirte hain
aankh uThti nahin bahar ke nazaron ki taraf
hum tabiat baDi sairab liye phirte hain
ehtiyatan ki harifon ke na hath aa jaen
mere purze mere ahbab liye phirte hain
hum ko shohrat ki tamanna na sataish ki talab
be-sabab aap ye asbab liye phirte hain
mah-jabin hain unhen bindiya ki zarurat kya hai
kyon wo mahtab pe mahtab liye phirte hain
kya guzarti hai dilon par ye KHuda hi jaane
log chehre baDe shadab liye phirte hain
dil ke taron se chale chheD tarannum ke liye
hum jo ashaar ki mizrab liye phirte hain
baadban ka hai na patwar ka muhtaj 'naqib'
us ki kashti ko jo girdab liye phirte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.