dosti ko aam karna chahta hai
dostī ko 'aam karnā chāhtā hai
ḳhud ko vo nīlām karnā chāhtā hai
bech aayā hai ghaTā ke haath sūraj
dopahar ko shaam karnā chāhtā hai
naukrī pe bas nahīñ jaañ pe to hogā
ab vo koī kaam karnā chāhtā hai
'umr-bhar ḳhud se rahā nārāz lekin
dūsroñ ko raam karnā chāhtā hai
bechtā hai sach bhare bāzār meñ vo
zahr pī kar naam karnā chāhtā hai
maqta-e-be-rañg kah kar aaj 'aslam'
hujjat-e-itmām karnā chāhtā hai
dosti ko 'am karna chahta hai
KHud ko wo nilam karna chahta hai
bech aaya hai ghaTa ke hath suraj
dopahar ko sham karna chahta hai
naukri pe bas nahin jaan pe to hoga
ab wo koi kaam karna chahta hai
'umr-bhar KHud se raha naraaz lekin
dusron ko ram karna chahta hai
bechta hai sach bhare bazar mein wo
zahr pi kar nam karna chahta hai
maqta-e-be-rang kah kar aaj 'aslam'
hujjat-e-itmam karna chahta hai
- Book : Apne Ghar Tak Aa Pauhncha Hoon (Pg. 99)
- Author : Aslam Habib
- Publication : Educational Publishing House, Delhi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.