dosti mein ana nahin hai dost
dostī meñ anā nahīñ hai dost
kyoñ ye sach māntā nahīñ hai dost
maiñ ka.ī chehre to nahīñ rakhtā
phir bhī pahchāntā nahīñ hai dost
apnā to kahtā hai magar apnā
tū mujhe māntā nahīñ hai dost
kyoñ tū parvāh bhī nahīñ kartā
kyoñ mirā aa.ina nahīñ hai dost
terī nazreñ batā rahī haiñ tū
āj-kal bā-vafā nahīñ hai dost
dosti mein ana nahin hai dost
kyon ye sach manta nahin hai dost
main kai chehre to nahin rakhta
phir bhi pahchanta nahin hai dost
apna to kahta hai magar apna
tu mujhe manta nahin hai dost
kyon tu parwah bhi nahin karta
kyon mera aaina nahin hai dost
teri nazren bata rahi hain tu
aaj-kal ba-wafa nahin hai dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.