dosti mein na dushmani mein hum
dostī meñ na dushmanī meñ ham
kyā nazar ā.eñge kisī meñ ham
kyuuñ sajāte haiñ ḳhvāb sadiyoñ ke
chand lamhoñ kī zindagī meñ ham
sair karte haiñ donoñ aalam kī
apne ḳhvāboñ kī pālkī meñ ham
jab tumhārā ḳhayāl aatā hai
Duub jaate haiñ raushnī meñ ham
koī āvāz kyuuñ nahīñ detā
Dagmagāte haiñ tīrgī meñ ham
pyaas ham ko kahīñ satātī hai
tairte haiñ kahīñ nadī meñ ham
raat hotī to koī baat na thī
luT ga.e din kī raushnī meñ ham
apne maazī se baat karte haiñ
terī yādoñ kī chāñdnī meñ ham
dosti mein na dushmani mein hum
kya nazar aaenge kisi mein hum
kyun sajate hain KHwab sadiyon ke
chand lamhon ki zindagi mein hum
sair karte hain donon aalam ki
apne KHwabon ki palki mein hum
jab tumhaara KHayal aata hai
Dub jate hain raushni mein hum
koi aawaz kyun nahin deta
Dagmagate hain tirgi mein hum
pyas hum ko kahin satati hai
tairte hain kahin nadi mein hum
raat hoti to koi baat na thi
luT gae din ki raushni mein hum
apne mazi se baat karte hain
teri yaadon ki chandni mein hum
- Book : Adhoori Baat (Pg. 49)
- Author : Izhar Ahmad Nadeem
- Publication : Rehmania Foundation, Azad Nagar, Shaikh Mohalla, Siwan, Bihar (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.