dosti par yaqin la-mahdud
dostī par yaqīñ lā-mahdūd
ho chukā ab vo silsila mahdūd
ham ne jo bhī kahā kahā mahdūd
sab ko achchhā lagā ki thā mahdūd
shā.irī muḳhtasar-navīsī hai
varna laavā thā dil meñ lā-mahdūd
us ko dariyā meñ jā ke milnā thā
ek qatra thā rah gayā mahdūd
chāhe jitnā bhī ho vasī.a magar
phir bhī hotā hai dā.era mahdūd
apnā apnā nasīb hai ai dost
varna sab kuchh yahāñ hai lā-mahdūd
rahnumā jab se maiñ banā apnā
na rahā koī rāsta mahdūd
us ko kuuze meñ band kar Daalā
ab to dariyā bhī ho chukā mahdūd
dastaras meñ 'farīd' thā sab kī
jaane ab kyoñ vo ho gayā mahdūd
dosti par yaqin la-mahdud
ho chuka ab wo silsila mahdud
hum ne jo bhi kaha kaha mahdud
sab ko achchha laga ki tha mahdud
shairi muKHtasar-nawisi hai
warna lawa tha dil mein la-mahdud
us ko dariya mein ja ke milna tha
ek qatra tha rah gaya mahdud
chahe jitna bhi ho wasia magar
phir bhi hota hai daera mahdud
apna apna nasib hai ai dost
warna sab kuchh yahan hai la-mahdud
rahnuma jab se main bana apna
na raha koi rasta mahdud
us ko kuze mein band kar Dala
ab to dariya bhi ho chuka mahdud
dastaras mein 'farid' tha sab ki
jaane ab kyon wo ho gaya mahdud
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.