dosto yaad subh-o-sham rakho
dosto yaad sub.h-o-shām rakho
par ho milnā to koī kaam rakho
mujh ko bhī khul ke baat karnī hai
tum bhī ilzām mere naam rakho
aise vaise tumheñ ḳharīd na leñ
aire-ġhairoñ se ūñche daam rakho
jī na uube yahāñ ke logoñ se
itne din shahr meñ qiyām rakho
dost to be-mile bhī dost raheñ
aur sab se du'ā salām rakho
hai zabāñ zehn aur dil ke biich
is kī kis haath meñ lagām rakho
sādgī shāndār hai 'zarra'
phir bhī thoḌā to tām-jhām rakho
dosto yaad subh-o-sham rakho
par ho milna to koi kaam rakho
mujh ko bhi khul ke baat karni hai
tum bhi ilzam mere nam rakho
aise waise tumhein KHarid na len
aire-ghairon se unche dam rakho
ji na ube yahan ke logon se
itne din shahr mein qiyam rakho
dost to be-mile bhi dost rahen
aur sab se du'a salam rakho
hai zaban zehn aur dil ke bich
is ki kis hath mein lagam rakho
sadgi shandar hai 'zarra'
phir bhi thoDa to tam-jham rakho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.