doston ka bhi munh gira hua hai
dostoñ kā bhī muñh girā huā hai
kyā mire haq meñ faisla huā hai
baazī ab bhī maiñ jiit saktā huuñ
ek mohrā abhī bachā huā hai
band karnā na phone tum lillāh
kitnī mushkil se rābta huā hai
mujh ko shak hai ki mere ḳheme kā
koī is ḳheme se milā huā hai
ġhaur karke tamām bātoñ par
phir judā.ī kā faisla huā hai
jhuuT bolo 'vasīm' jhuuT pe jhuuT
sach se kis shaḳhs kā bhalā huā hai
doston ka bhi munh gira hua hai
kya mere haq mein faisla hua hai
bazi ab bhi main jit sakta hun
ek mohra abhi bacha hua hai
band karna na phone tum lillah
kitni mushkil se rabta hua hai
mujh ko shak hai ki mere KHeme ka
koi is KHeme se mila hua hai
ghaur karke tamam baaton par
phir judai ka faisla hua hai
jhuT bolo 'wasim' jhuT pe jhuT
sach se kis shaKHs ka bhala hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.