Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

doston ke hu-ba-hu paikar ka andaza laga

Iqbal Naved

doston ke hu-ba-hu paikar ka andaza laga

Iqbal Naved

MORE BYIqbal Naved

    dostoñ ke hū-ba-hū paikar andāza lagā

    ek patthar ke badan par kāñch chehra lagā

    dekhne vaalī nigāhoñ meñ agar taz.hīk hai

    kaun kahtā thā bhare bāzār meñ mela lagā

    ḳhvāhishoñ ke peḌ se girte hue patte na chun

    zindagī ke sehn meñ ummīd paudā lagā

    tere andar ḳhizāñ māyūs kar degī tujhe

    khiḌkiyoñ meñ phuul rakh dīvār par sabza lagā

    vaqt har dukh masīhā ho nahīñ saktā 'naved'

    zaḳhm apne dil pe mat ehsās gahrā lagā

    doston ke hu-ba-hu paikar ka andaza laga

    ek patthar ke badan par kanch ka chehra laga

    dekhne wali nigahon mein agar tazhik hai

    kaun kahta tha bhare bazar mein mela laga

    KHwahishon ke peD se girte hue patte na chun

    zindagi ke sehn mein ummid ka pauda laga

    tere andar ki KHizan mayus kar degi tujhe

    khiDkiyon mein phul rakh diwar par sabza laga

    waqt har dukh ka masiha ho nahin sakta 'nawed'

    zaKHm apne dil pe mat ehsas ka gahra laga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now