doston ko meri zarurat hai
dostoñ ko mirī zarūrat hai
qadr-dānī nahīñ ye qīmat hai
aadmī bār-e-ādmiyyat hai
hādse kī ashad zarūrat hai
un ke lab haiñ mirī shikāyat hai
kitnā badlā hai vaqt-e-hairat hai
do diloñ ke milāp kī ḳhvāhish
pahle ḳhvāhish thī ab nadāmat hai
maiñ jahāñ huuñ kafīl huuñ apnā
tum jahāñ ho mirī zarūrat hai
ādmiyyat kā irtiqā maiñ huuñ
aadmī se mujhe mohabbat hai
aao ik dūsre ko pyaar kareñ
pyaar karnā baḌī 'ibādat hai
doston ko meri zarurat hai
qadr-dani nahin ye qimat hai
aadmi bar-e-admiyyat hai
hadse ki ashad zarurat hai
un ke lab hain meri shikayat hai
kitna badla hai waqt-e-hairat hai
do dilon ke milap ki KHwahish
pahle KHwahish thi ab nadamat hai
main jahan hun kafil hun apna
tum jahan ho meri zarurat hai
aadmiyyat ka irtiqa main hun
aadmi se mujhe mohabbat hai
aao ek dusre ko pyar karen
pyar karna baDi 'ibaadat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.