dozaKH-o-jannat hai ab meri nazar ke samne
dozaḳh-o-jannat hai ab merī nazar ke sāmne
ghar raqīboñ ne banāyā us ke ghar ke sāmne
nāsehā jī kis kā letā hai khulūñgā tujh se maiñ
dil ko parda hai mohabbat meñ jigar ke sāmne
ishq ke rutbe ke aage āsmāñ bhī past hai
sar jhukāyā hai farishtoñ ne bashar ke sāmne
ḳhvāb meñ shab ko ḳhayāl aaya thā jannat kā hameñ
sub.h dekhā to paḌe haiñ tere dar ke sāmne
raat mahtābī pe chaḌhtā hī na thā vo mehr-vash
paañv paḌ kar chāñdnī laa.ī qamar ke sāmne
ḳhaak dekhā kuchh shabistān-e-jahāñ meñ o 'nasīm'
Dher parvānoñ kā thā sham-e-sahar ke sāmne
dozaKH-o-jannat hai ab meri nazar ke samne
ghar raqibon ne banaya us ke ghar ke samne
naseha ji kis ka leta hai khulunga tujh se main
dil ko parda hai mohabbat mein jigar ke samne
ishq ke rutbe ke aage aasman bhi past hai
sar jhukaya hai farishton ne bashar ke samne
KHwab mein shab ko KHayal aaya tha jannat ka hamein
subh dekha to paDe hain tere dar ke samne
raat mahtabi pe chaDhta hi na tha wo mehr-wash
panw paD kar chandni lai qamar ke samne
KHak dekha kuchh shabistan-e-jahan mein o 'nasim'
Dher parwanon ka tha sham-e-sahar ke samne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.