dstar-e-faqirana ek taj se afzun hai
dstār-e-faqīrāna ik taaj se afzūñ hai
rāh-e-tarah-e-ḳhum-ḳhāna me.arāj se afzūñ hai
aise hī hukūmat hai aise hī ibādat hai
ye shāh-e-faqīrāna mohtāj se afzūñ hai
chalte ho paristāñ meñ pariyāñ haiñ bahut shā.eq
ab husn-e-parī-ḳhāna phir aaj se afzūñ hai
kyā ġham hai chhalak jaa.e sāġhar mirā ai saaqī
vo tāknā paimāna āmāj se afzūñ hai
phir ho.e fuzūñ daulat 'aḳhtar' ye duā de tū
ye faqra-e-pīrāna ik raaj se afzūñ hai
dstar-e-faqirana ek taj se afzun hai
rah-e-tarah-e-KHum-KHana mearaj se afzun hai
aise hi hukumat hai aise hi ibaadat hai
ye shah-e-faqirana mohtaj se afzun hai
chalte ho paristan mein pariyan hain bahut shaeq
ab husn-e-pari-KHana phir aaj se afzun hai
kya gham hai chhalak jae saghar mera ai saqi
wo takna paimana aamaj se afzun hai
phir hoe fuzun daulat 'aKHtar' ye dua de tu
ye faqra-e-pirana ek raj se afzun hai
- Book : Ghazal Usne Chhedi(3) (Pg. 185)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Books (2017)
- Edition : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.