dua kaam aa gai hum jaan-nisaron gham ke maron ki
du'ā kaam aa ga.ī ham jāñ-nisāroñ ġham ke māroñ kī
ghaḌī dekho bas ab aane ko hai dil meñ bahāroñ kī
mirī jānib qadam uThte haiñ ye kis mehrbāñ-dil ke
sabā ḳhushbū liye aa.ī guloñ kī ābshāroñ kī
vo le kar titliyāñ dil meñ sitāroñ kī chamak le kar
jahāñ par chhā rahī hai jaise sūrat māh-pāroñ kī
dil-e-nādān sajde meñ girā hai ek 'arse se
tamanna diid kī le kar in āñkhoñ ke nazāroñ kī
mire mohsin mire ham-rāz tum se kyā chhupānā hai
mirī dhaḌkan na ruk jaa.e ḳhabar sun kar kināroñ kī
baḌā be-rahm thā tūfāñ tū kaise bach gayā 'ādil'
du'ā miltī rahī hai tujh ko shāyad rab ke pyāroñ kī
du'a kaam aa gai hum jaan-nisaron gham ke maron ki
ghaDi dekho bas ab aane ko hai dil mein bahaaron ki
meri jaanib qadam uThte hain ye kis mehrban-dil ke
saba KHushbu liye aai gulon ki aabshaaron ki
wo le kar titliyan dil mein sitaron ki chamak le kar
jahan par chha rahi hai jaise surat mah-paron ki
dil-e-nadan sajde mein gira hai ek 'arse se
tamanna did ki le kar in aankhon ke nazaron ki
mere mohsin mere ham-raaz tum se kya chhupana hai
meri dhaDkan na ruk jae KHabar sun kar kinaron ki
baDa be-rahm tha tufan tu kaise bach gaya 'adil'
du'a milti rahi hai tujh ko shayad rab ke pyaron ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.