dua-e-dast-e-fazilat se sar ki raunaq hai
duā-e-dast-e-fazīlat se sar kī raunaq hai
hamāre ghar ke buzurgoñ se ghar kī raunaq hai
dar-o-dīvār se kilkāriyāñ nikaltī huiiñ
abhī bhī sahn meñ būḌhe shajar kī raunaq hai
harī-bharī hai ye chaukhaT kisī ke qadmoñ se
hamārī nīm-shabī bhī sahar kī raunaq hai
zamāna dekh chukā hai jalāl sūraj kā
ye shaam surma-e-nūr-e-nazar kī raunaq hai
vo apne lutf se miTTī meñ jaan Dāltā hai
ye chāk-e-husn-e-jahāñ kūza-gar kī raunaq hai
sukūt-e-shab bhī abhī tak murāqabe meñ hai
hamārī chhat kisī gard-e-safar kī raunaq hai
ye bistare key harārat ye Doltī zanjīr
kivāḌ tohfa-e-bāb-e-asar kī raunaq hai
dua-e-dast-e-fazilat se sar ki raunaq hai
hamare ghar ke buzurgon se ghar ki raunaq hai
dar-o-diwar se kilkariyan nikalti huin
abhi bhi sahn mein buDhe shajar ki raunaq hai
hari-bhari hai ye chaukhaT kisi ke qadmon se
hamari nim-shabi bhi sahar ki raunaq hai
zamana dekh chuka hai jalal suraj ka
ye sham surma-e-nur-e-nazar ki raunaq hai
wo apne lutf se miTTi mein jaan Dalta hai
ye chaak-e-husn-e-jahan kuza-gar ki raunaq hai
sukut-e-shab bhi abhi tak muraqabe mein hai
hamari chhat kisi gard-e-safar ki raunaq hai
ye bistare key hararat ye Dolti zanjir
kiwaD tohfa-e-bab-e-asar ki raunaq hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.