dua ke bas ka nahin bad-dua ke bas ka nahin
duā ke bas kā nahīñ bad-duā ke bas kā nahīñ
ik aisā banda huuñ maiñ jo ḳhudā ke bas kā nahīñ
vo sar paTaktī hai jhuñjhlātī hai mire uupar
bas ek tinkā huuñ maiñ aur havā ke bas kā nahīñ
hujūm-e-chāra-garāñ dang hai tirā bīmār
kisī bhī zahr kisī bhī davā ke bas kā nahīñ
barahna honā paḌegā tujhe bhī mere saath
ki ek lams bhī band-e-qabā ke bas kā nahīñ
mujhe to chhoḌ ki maiñ ik jahān-e-dīgar huuñ
mirā ḳhayāl bhī us be-vafā ke bas kā nahīñ
ḳhamoshiyo! tumheñ merā bayān honā hai
vo dukh huuñ maiñ ki jo saut-o-sadā ke bas kā nahīñ
yahī zamīñ mirā dozaḳh yahī zamīñ jannat
mirā mizāj sazā-o-jazā ke bas kā nahīñ
mire vajūd meñ tū thā jahāñ ḳhalā hai ab
jo tere bas kā na thā ab ḳhalā ke bas kā nahīñ
dua ke bas ka nahin bad-dua ke bas ka nahin
ek aisa banda hun main jo KHuda ke bas ka nahin
wo sar paTakti hai jhunjhlati hai mere upar
bas ek tinka hun main aur hawa ke bas ka nahin
hujum-e-chaara-garan dang hai tera bimar
kisi bhi zahr kisi bhi dawa ke bas ka nahin
barahna hona paDega tujhe bhi mere sath
ki ek lams bhi band-e-qaba ke bas ka nahin
mujhe to chhoD ki main ek jahan-e-digar hun
mera KHayal bhi us be-wafa ke bas ka nahin
KHamoshiyo! tumhein mera bayan hona hai
wo dukh hun main ki jo saut-o-sada ke bas ka nahin
yahi zamin mera dozaKH yahi zamin jannat
mera mizaj saza-o-jaza ke bas ka nahin
mere wajud mein tu tha jahan KHala hai ab
jo tere bas ka na tha ab KHala ke bas ka nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.